Friday, 30 January 2015

Sex Karne Ka Sahi Tareeka Hindi May

Hindi Sex Jankari

Sex in hindi
Sex in Hindi

Sex Karne Ka Maza Hindi


Hindi may Sex ke Bare may Jankari paidaesh ke bad jab insaan jawani ya baloghat ki taraf jata hy to zahir baat hy insaan main tabdeelian aaen gi. Afsos ki baat ye hy ke inhi changes ko badqismati se Humare mulq k neem haqeemon ne bimarian yani disease bana diya hai. Larke jab baloghat ko pohanchtay hain un main bohat se tabdilian aati hain jin main commonly jisam pe baal ajana (naaf, baghal main baal ajana).
Baloghat main larkon ko jinsi shahoot ya sex ki taraf rujhan qadray ziada ho jata hay jis ki waja se laisdar qatray ya liquid kharij hota hay jo ke 1 normal amal hai. Jinsi tabdilion main larkon ko ehtelam honay lagta hay or larkiyon main mahwari wagera. Aksar nojawan confused hotay hain ke ye changes normal hy ya abnormal or afsos se kehna parh raha hy k Humare muashray main galat guide kia jata hai. Jis ki waja se baaz nojawan deewari eshteaar parh ke kisi neem haqeem ke hath charh jatay hain or wo nojawan ko itna depressed kar detay hain ke nojawan in changes ko bimari samajh leta hai. or wo pareshan or tension may rehnay lagta hai.
Tension or pareshani ki waja se wo waqai kamzor honay lag jata hy jis ki waja se or bimarian bhi usay ghair leti hain. Is tarah tarah neem haqeem ki batain usay sach lagnay lagti hain or wo bohat se paisay bhi kharch karne ko taiyar ho jata hai.

MANI KA KHARIJ HONA OR SEMEN EJACULATION 


Jaisa k jawani main shahoot ki taraf rujhaan barh jata hy 15 se 20 saal ki umer main to bohat hi ziada hota hy or semen ki pedawar ziada miqdar main ban'nay lagti hy jis waja se 15 se 20 saal ki umer main mani ka ikhraj bhi ziada hota hai. Semen (mani) ke ikhraj ke tareeqon main... Shaadi (marriage), Ehtelam (Nocturnal Emission),  KhudLazzati (Masturbation) or shadi (marriage) bivi sey humbistri / mubashrat sirf faraj may  karney ki ijazat hai. Maq'ad may  mubashrat qata'an haram hai. Maghribi logon main se 40% log kabhi na kabhi maq'ad main mubashrat kartay hain. or bohat se mard, mard may hi dilchasbi letay hain or western main mard mard se shadi bhi kar saktay hain jo ke bohat hi bara gunah hai. Humare yahan bhi bohat se mard hain jo mard may hi interest letay hain jo k i nafsiyati bimari hy jis ka hal bhi ho sakta hai.
Ehtelam  (Nocturnal Ejaculation) Mani ke ikhraj ka doosra behter rasta ehtelam hy jin naujawano ko mubashrat ya khud lazzati ka kasrat sey moqa nahin milta unn ko Ehtelam ho jata hai. Yani sotey may  khwab may  ya khwab ke baghaer peeshab ke rasta mani kharij ho jati hai. Iss ke baad ghuslfarz ho jata hai, albatta iss sey roza nahin tootta. Yeh amal 8, 10 saal ki umer sey shuru ho sakta hai. Behter hy ke bachay ko iss kat muta'alliq paeshgi bata diya jain warna isey jinsi beemari samajh ley ga or khauf zada or pareshan ho jain ga. Phir kisi neem hakeem ke hutthey charh kar sehat aut rupya zaya karey ga. Ehtelam ek bilkul normal or sehat mand uzwiati amal ya kaifiyat hy jis ke barey may  pareshan honay ki zaroorat nahin. Ehtelam K Farzi Buray Asrat: Albatta agar yeh 6, 7 saal ki umer may  shuru ho jain to phir kisi mahir urologist sey mashwara kar liye jain. Ehtelam  (Nocturnal Ejaculation) waley khush qismat hain kyun ke woh iss tarah mani  ke ikhraj ki wajah sey khud lazzati or zina sey bach jatey hain. Yeh rozana ho sakta hy bul ke ek raat may  do teen baar bhi ho sakta hai. Ek mashhoor muhaqqiq Kinsey ke survey ke mutabiq yeh ek haftey may  12 dafa bhi ho sakta hai. Yeh na sirf naujawanon ko hota hy bul ke 70 saala boorhey, jis ko mubashrat ka moqa nahin milta, ko bhi ho sakta hai. Ta'hum yeh chahey kitni hi martaba kyun na ho ek normal amal hai, kyun ke mani ka ikhraj ek sehat mand amal hai. Insaan ki sehat per iss ke koi burey asraat nahin parte. Saarey doctors, reasearchers, mahireen e nafsiyat or jadeed ilm sey aagaah hakeem iss baat sey poori tarah ba khabar hain ke Ehtelam koi nuqsan deh cheez nahin. Chuna'ncha yeh baat poorey daawey sey kahi ja sakti hy ke Ehtelam  ke kisi bhi tarah ke burey asraat nahin.

Nightfall in Younger Age

NEEM HAQEEM OR EHTELAM: Allbatta neem hakeem naujawano ko Ehtelam ke farzi burey asraat or tabahkaariyon sey khauf zada kar detey hain, jin may  sey chund yeh hain. Ehtelam sey dimagh or hafiza kamzor ho jata hai. parhney ko dil nahin karta (parhney ko kis talib ilm ka dil karta hai) yaad kya hua yaad nahin rehta beenaee kamzor ho jati hy a'asaab kamzor padh jatey hain fard khauf or ghabraahat ka shikar ho jata hy uss ke dil ki dharkan taez ho jati hy aankhon ke aagey andhera cha jata hy chusti, chalaki khatam ho jati hy chehra bey ronaq ho jata hy badan susu or kamzor padh jata hy fard zara si mehnat sey thak jata hy kisi kaam may  dil nahin lagta.  Taangon or kamar may  dard mehsoos hota hy fard susti, kaahili or udaasi mehsoos karta hy mizaj chirrchira ho jata hy ehsaas e kamtari ki wajah sey fard kisi sey aankh mila kar baat nahin kar sakta. Yaqeen karein ke inn tabah kaariyon ki koi haqeeqat nahi. Albatta kuch log ehtelam ke ba'ad kuch kamzori or doosri jismani or nafsiyati alamaat (symptoms) ki shikayat kartey hain. Iss ki wajah manfi suggestions hain jo humein ghaer meyari kutub or deewaron per ishtehaarat sey milti hain jin may  ehtelam ki tabah kaariyon ka zikr hota hai. Phir fard sochta hy ke woh kamzor ho jain ga to woh kamzor ho jata hai, dar asal insaan jaisa sochta hy waisa hi mehsoos karney lagta hai.

Depression in Sexual Life

Depression may  fard shadeed afsurdagi or udaasi mehsoos karta hai, uski neend urr jati hai, bhook khatam ho jati hy jiski wajah sey woh kamzor honay lagta hai. Iss ke elawa zehni dabau (stress) ki wajah sey fard bohut si doosri jismani beemariyon ka shikar ho jata hai. Ab tehqeeq sey sabit ho chuka hy ke nafsiyati beemariyon ki sab sey bari wajah zehni dabau (stress) hai. Iss ke elawa 50 ta 80% jismani beemariyon ki wajah bhi zehni dabau hota hai. Iss sey ulcer sey cancer tak ho jata hai. Haqeeqat yeh hy ke ehtelam ke jinsi, zehni or jismani sehat per koi burey asraat nahin parte. Iss ki ek or wajah fard ki tawaqqa (expectation) bhi hai. Insaan jaisi tawaqqa karta hy waisa hi mehsoos karney lagta hy yani waisa hi ho jata hai. Ek American Dr. Norman ney ek dilchasp tajurba kya, iss tajurbey may  10 log shamil thay. Inn may  Dr.Norman  khud bhi shamil tha. 10 log ek hotel may  ikatthey huey. Dr. Norman ney unn sey poocha ke woh agley saal kis cheez ki tawaqqa kartey hain. Har fard ney apni tawaqqa ek kaghaz per likhi or inn sab ko alaehda alaehda envelope may  bund kar diya gaya. Ek saal ba'ad yeh sab log isi hotel may  ikatthey huey, inn may  ek fard na aaya. Ek ek kar ke sab ke envelope kholey gaey har fard ney jiski tawaqqa ki thi uss nay taqreeban woh cheez hasil karli thi. Ghaer hazir fard ka envelope aakhir may  khola gaya iss may  darj tha ke humarey khandaan may  mardon ki umrein zyada lambi nahin hotiin lehaza mera khayal hy ke may  agley saal tak zinda na rahun ga, or woh faut ho chuka tha.
Naujawan amooman pehley musht zani shuru kartey hain, phir ehsas e gunah or iss ke farzi asraat ke khauf sey  Musht zani chor detey hain magar musht zani chortey hi unn ko ehtelam shuru ho jata hai. Phir naujawan ajeeb makhmasey may  phans jatey hain ke mushtzani karein to shadeed ehsas e gunah or jinsi kamzori ka ehsaas or musht zani chorein to ehtelam or phir jismani or jinsi kamzori ka khuaf or ehsaas. Ehtelam Ki Wajoohaat (Causes of Nocturnal Ejaculation): Iss ki wajah to yeh hoti hy ke fard ki mani ka kisi or zaryey sey ikhraj nahin hota to iss tarah sey ikhraj ho jata hy kyun ke koi fard mani ko mehfooz nahin kar sakta.  
Romantic films, fahash films, tasaweer, kahaniyan, fahash baatein or internet per sex sites ka visit bhi iss ka ek ahem sabab hain.  
Larki ke sath romantic mahol may  guzara hua waqt jis may  mubashrat ki shadeed khwahish ho jo poori na hui ho, iss tarah ehtelam ke zaryey khwab may  fard woh khwahish poori kar leta hai.     Narm bister, tung patloon or underwear bhi ek ahem wajah hai.  
Soney sey qabal peeshab na karna ya soney may  peeshab ko rokna waghaera bhi wajah ban jati hai.  

Ehteam ko kaise band Kiya jay

Mahireen ka khayal hy ke ehtelam ko bund karney ki koshish na ki jain, agar mani ke ikhraj ka yeh acha raasta bund ho gaya to woh fard doosrey ghalat raastey talash kar ley ga, phir woh khud lazzati karey ga ya zina may  mubtala ho jain ga. Amooman woh naujawan jin ko zyada ehtelam hota hy woh khud lazzati (masturbation) nahin kartey.  

Ehtelam Ka Elaj:  

Ehtelam (Nocturnal Ejaculation) ghaer shadi shuda afraad ke elawa shadi shuda afraad ko bhi ho jata hy jin ko bivi sey mubashrat ka jald ya kasrat sey moqa nahin milta, ta'hum isey kisi hudd tak kam kya ja sakta hai. Iss ke liye gandi filmon, kahaniyion, tasaweer, sex sites, dramon, gaanon or buri sohbat sey bacha jain, sports may  zyada dilchaspi lii jain, rafahee kaamon may  hissa liye jain, deen ki taraf zyada tawajjuh dii jain. Raat ka khana kam or jald khaya jain. Raat ke khaney ke ba'ad saer ki jain, sotey waqt garam doodh or chaey na pii jain, sotey waqt zyada pani na piya jain. Bister bohut narm na ho, isi tarah kaprey khusoosan underwear tung na ho. Soney sey pehley peeshab zaroor kar liye jain. Sotey may  jab bhi peeshaab ki hajat ho to foran neend sey baedaar ho kar peeshab kar liye jain. Peeshab rokney ki zaroorat may  ehtelam ke imkanaat bohut barh jatey hain. Waisey ehtelam koi beemari nahin, iss ka koi nuqsaan nahin or na hi iss ke elaj ki koi zaroorat hai.

No comments:

Post a Comment